Last Updated on 5 years by Abhishek Kumar
Dosto hum daswi pass kar lete hai. to samajh me nhi aata hai ki kaun si subject choose kare. isi me student
gadbad kar dete hai. Aur jis subject me ruchi nhi hoti wahi subject choose kar lete hai. aap jante honge ki
aache carrier ke liye pratiyogita din par din badati ja rhi hai. Aur hum dekhate hi rah jate hai. Aisi pratiyogita
ke bich saphalta is baat par aadharit hoti hai ki carrier awasaro ki dager par kis trah aage bada ja rha hai.
Student ko yah jan lena chahiye
- Aaj ke daur me sabhi stutent ko samajh kar hi kam leni chahiye. Bache ko yah baat samajhani hogi ki aaj
suchana kranti aur audhogik kranti ke yug me cariier ke saath sath bahut sare bikalp khul gaye hai.
isi sab me se apni iksha ke anusar apani pasand ka subject choose karke safal ho sakte hai.

2. Dosto carier ke kshetra me saphal hone ka sahi jankari matric pass karne ke bad hi samajh me aata hai.
ki aage kya kar sakte hai. jo student jiwan me carrier ka sahi rasta choose kar le. to mai kahta hun wah
saphalta ka aadha rasta par kar liya.
3. student ke mata pita ko bhi chahiye ki jab bacha daswi pass kar le to ruchi ke anusar subject choose kar
ke bacho ko sahi raste par aane ka salah de.
4. ager bacha ko sahi subject mil jaye to bache ko padhai karne me maza aayega. aur wah mehnat karke
carriuer ke dager par saphal ho sakte hai.
Bihar student credit card details apply kaise kare
10th ke bad kya kare ?
5. sabhi student ko yah jankari hona chahiye ki kaun si subject se hum kis mukam par ja sakte hai.
sath-sath shikshan sansthan collage ki jankari le leni chahiye.
6. Dosto humare ghar ke bade log kahte the ki pahle ek samay tha . ki achhe carrier li planing snatak ke bad
ki jati thi. Dhire dhire samay ke badlaw ke bad barahwi ke bad carrier ka planing hone laga. ki kaun si line
ka subject choose kiya jaye. lekin aaj ke samay me chahiye ki 10th ke bad sahi disha ka chunaw ho.
7. mata peeta apane bachho ko bataye ki 10+2 me kaun kaun ki subject lene se snatak me kaun si subject
leni hogi. Aur 10+2 ke bad kaun si kshetra me kadam rakhane par saphal ho payenge.
8. kisi bhi kshetra me carrier banane ke liye soche samajhe aur n ho to saphal logo se salah le. taki aapka
carrier ban sake.
9. Abhibhawak ko chahiye ki nidharit laksh ki traph bacho ko sahi kshetra me kadam rakhane ki salah de.
Subject choose karte samay kya kare
- subject choose karte samay apni ruchi aur hobies par bhi dhayan de. nhi to jaldbaji me aap galt
subject choose kar lenge to bad me pareshani ho sakti hai.
2. subject ka choonaw karte samay senior , shikshit vyakti, teachers ka sahi salah lekar hi aage badhane me
saphalta mil sakti hai.
3. Ager aap alag alag salah se confuse hai. to tention lene ki koi jarurat nhi hai. Aap apane ruchi aur vivek ka isatemal karke khud subject choose kar sakte hai.
4. Koi bhi subject ko choose karte samay yah jan lena jaruri hai ki hum jo subject choose kar rahe hai. uska
future me sahi upayog hai ki nhi.
5. Ager aap buniyadi carrier ka sahi disha me kadam rakhane ka chayan nhi kar pate hai to carrier counseller
ya internet par bahut si site hai jo aapki madad kar sakti hai.
6. Dosto yah jan lena jaruri hai ki future me aap kya banna chahte hai. usi ke anusar subject ka chayan kare.
aisa hargij n kare ki technology ke jagah biology choose kar le.
7. jo aap subject choose kar rhje hai . usame mehnat karne ki hausala rakhe. to aap saphal jarur ho sakte hai.
Bahut hi badhiya study tips bataya hai aapne students ke liye . Good Work
Village bhreti post yogupur PS hilsa D’s Nalanda Bihar